blog-ki-seo-setting-kaise-kare

Hello,namskar dosto,
ham koi bhi chij kyu na le le uski sahi setting na ho to hame kafi mushkilo ka samna karna padta hai. Usi prakar agar hamare blog ki sahi setting na ho to kafi problems aati hai. Jaise hi hamari site rank na karna. Jab hamari site rank hi nahi hogi to visitors kaha se aayenge.

Agar visitors na aaye to hamare blog likhne ka kya fayda. To inhi sabhi problem ka solution hai ki ham apne blog par seo setting kar le. Seo ka matlab hai search engine optimization. To chalo friends aaj shikh lete hai ki blog ki setting kaise kare?

Blog ki seo setting:- blog ki seo setting karne ke liye apne blogger dashboard ko open kar le. Ab aapko niche settings par click karna hai aur niche diye gaye steps follow karna hai.

A] basic:-

1) title :- yaha apke blog ka title hoga. Agar aap chahe ho isse edit kar sakte hai.

2) description :-  yaha apko apne blog ka description likhna hai max-500charactors use karke. Ye bahut hi important hai kyuki jab bhi apki site open hogi apke title ke niche ye descripation bhi aayega jiski vajah se visitors ko pata chalega ki apki site kis chij par hai. Kuchh aisa description likhe jisase log apki site par dobara aane par majbur ho jaye.

3) privacy :- yaha apko edit ka option milta hai. Edit par click karke apko aane wali 2 option ko yes par hi rahne dena hai.


publishing:-

4) blog address :- jab aap apne blog ke liye domain buy karenge tab jakar hame iss setting ko karna hai. Aap filhal use aise hi chod de.


https:-

5) https redirect :- no-change


permission:-

6) blog authors :- no-change

7) blog readers :- no-change

b] post, comment & sharing

postes:-
1] show at most:- yaha aap tay kar sakte hai. Ki apke blog ke home page par kitne post dikhne chahiye ya show hone chahiye. [recommend 5-7 post]

2] post tamplate:- agar aap kisi ek hi style me post likhte hai to ye apke kam ki chij hai. Iss topic ko ham next post me cover karenge.

3] showcase image with lightbox:- ise aap yes par hi rahne de. Iski vajah se hi apke blog ke home page par apke post image ke sath lightbox me show hote hai.


comments:-
1] comment location:- embedded hi rahne de.

2] who can comment? :- ye aap tay kar sakte hai. Kon apke post par comments kar sakta hai.

3] comment moderation :- ye aap tay kar sakte hai. Kon apke post par moderation kar sakta hai.

4] word verification :- yaha aapke post par jab bhi koi visitor comment karega to word verification hoga. Agar apne word verification yes kiya hai.

5] comment for message:- yaha aap apne visitors ko comment box me upar comment karne par majbur kar dene wale words use kar sakte ho.

6] google+ comment :- agar aap google+ comment yes karte hai. To apke blogger dashbord se comments option hat jayega aapko pata nahi chal payega ki apke blog par kisne kya comment li hai. Kyuki yaha apke blog par google+ dwara kiye gayecomments bhi count hote hai. Agar aap ise no karte hai. To google+ ki comments koi mayne nahi rakhengi. To aap khud hi decide kar le ki aap ya rakhna chahte hai. Agar mujhse puchha jaye to mai no hi rakhne ki salah dunga.

sharing to google+
7] this blog is associated with your personal google+ profile :- yaha aap apne google+ ki hi profile ko rahne de.

8] auto-share new published posts to your google+ profile :- jab bhi aap koi new post publish karenge to apke post automatically google+ par share ho jayenge. Aap ise yes kar de kyuki apko vaha se bhi traffic mil sakta hai.

9] prompt to share after posting :- agar aap sabhi post ko google+ par share nahi karna chahte to aap ise yes kar se &
auto-share new published posts to your google+ profile ko no karde isse jab bhi aap koi new post publish karenge to aapse google+ par share karne ke liye puchha jayega.

***sab setting ho jane par upar save setting par click kar ke settings save kar le.

C] email :-

1] posting using email:- disabled

2] comment notification email :- yaha aap add par click karke apne gmail id ko enter kar de

3] email post to :- yaha aap add par click karke apne gmail id ko enter kar de

***sab setting ho jane par upar save setting par click kar ke settings save kar le.

D] language & formatting:-

language
1] language :- english (united-state)

2] enable transliteration:- agar aap isse enable rakhte hai to agar apka post english me hai to jab bhi apka post open hoga tab apko translate ka pop-up show hoga. Jo bhi apne language select ki hai us language me translate ho jayega. Ab ye apke upar hai hi aap isse enable rakhte hai ya disable.

formatting
3] time zone:- agar aap india se ho to aap (gmt+05:30) india standard time set kare.

4] date header format:- ise aap apne tarike se rakh sakte hai. Par normally log day, month date, year iss format me rakhte hai.

5] timesmap format:- ise aap apne tarike se rakh sakte hai. Par normally log month date, year iss format me rakhte hai.

6] comment timesmap format :- ise aap apne tarike se rakh sakte hai. Par normally log month date, year at___am. Iss format me rakhte hai.

E] search preference

meta tags
1] description :-
yaha apko apne blog ka description likhna hai max-150 charactors use karke. Ye bahut hi important hai kyuki jab bhi apki site google search me aayegi tab uske niche ye descripation bhi aayega jiski vajah se visitors ko pata chalega ki apki site kis chij par hai. Kuchh aisa description likhe jisase log apki site kholne par majbur ho jaye.


error and redirections
2] custom page not found:-
jab bhi koi apka blog search karta hai to kabhi kabhi us target tak pahuchne me systeam ko ya google ko dikkat aati hai. Kyuki shayad hamne us page ko delete kar diya hai. Us wakt visitor ko batane ke liye ki yah page filhal uplabdh nahi hai apko use 404 page error par ridirect karna hoga. Yaha aap khud likh bhi sakte hai ya aap html coding ka use kar sakte hai.

Ex:- 👉 sample 404 error page

4] custom redirect:-
yaha jab aap koi post delete kar dete ho to us post ke url ko dal kar use kisi dusre post ke url par redirect kar dete hai. Iski vajah se apke site par 404 error nahi aate. Iske liye apko apne delete post ka url & jis post par redirect karna hai uska url dono ki jarurat hai. Bas apko unhe vaha dal kar save kar dena hai.

crawlers and indexing

5] google search console:- ise ham google webmaster bhi kahte hai. Iske bare me ham next post me janenge.

6] custom robot.txt:- yah har website ke liye bahut hi jaruri hota hai is se google ko pata chal jata hai. Ki kis data ko index karna hai kise nahi. Aap niche diye robot.Txt ko vaha paste kar de.Example.Com ki jagah apne blog website ka url fill kare.

User-agent: mediapartners-google
disallow:user-agent: *disallow: /search
allow: /
sitemap: http://example.Com/feeds/posts/default?Orderby=updated

7] custom robot header tag:-sabse pahle aap ise yes kare.

Homepage:- all & noodp par ✔️ lagaye
archive & search pages :- noindex par ✔️ lagaye
default for posts & pages :- all & noodp par ✔️ lagaye

***sab setting ho jane par upar save setting par click kar ke settings save kar le.

monetisation

8] custom ads.txt:-
ye setting apko tab karni hai jab apke blog par ads show hone lage.

F&g] other & user setting koi change na kare.

To friends, finally hamare blog ki settings comlpeate ho chuki hai kuchh settings ke bare me ham agli post me sikhenge. Kyuki yah ek alag topic hai. Iss post me apne sikha ki kaise ham apne blog ki seo setting kar sakte hai. Iske fayde maine upar hi apko bata diye hai. Bahut hi simple tariko se samjhane ki koshish ki hai.

1 Comments

इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।

Post a Comment

इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।

Previous Post Next Post