Digilocker-क्या-है-पूरी-जानकारी-हिंदी-में-Digital-India |
Hello namaskar dosto,
Friends, Berojgari ki wajah se aaj kal choro ki sankhya badh gayi hai. Aur ye chor aapke kimti cheezo ko churane Ke Chakkar me, aap ke bag Ko Chura Lete Hain jisme Me Aapki important documents ho sakti hai. Aapke important documents Choro ne churali to Aap Ki Pehchan kahi Kho Gayi aisa aapko pratit hoga. Aisa Aap Ke Saath Na Ho isliye Hum Aaj aapke liye Digilocker kya hai? Importance of Digilocker iski puri Jankari le kar Aaye Hain to chalo dosto dekhte hain kya hai Digilocker?
Introduction of Digilocker
Friends Digilocker PM.Narendra Modi ke Digital India program ka ek mahatvapurna hissa hai. Is Digilocker mein aap apne Birth-Certificate, Passport, School-Certificate ityadi Jaise important documents store karke rakh sakte hain. Iss Suvidha ko paane ke liye aapke pas Adhaar card hona jaruri hai. Apne Aadhar Card ka number feed Karke aap digilocker Seva ko activate kara sakte hain.Digilocker ki Khaas Baatein
- Digilocker ki sabse khaas Baat ye hai ki aap apne important documents ko online store kar sakte hain.
- Online store hone ki wajah se aapko baar baar Kagjon ka prayog nahi karna hoga .
- Digilocker ki service ki wajah se aap apne online store documents ke digital link paste karke hi aap apna kam kar sakte hain.
- Aap apne login ID and password se duniya ke kisi bhi college se apne upload kiya documents use kar Sakenge.
- Department of electronics and information technology (DEITY) ne haal hi mein digilocker ka beta version launch Kiya Hai.
Kaise banaye Digilocker account
- Apna browser open kare type kare https://digilocker.gov.in and search kare.
- Digilocker website khulne par sign up button par click kare.
- Apna mobile number dale and continue per click kare.
- Ab aap ke mobile number Par ek OTP aayega usse enter Karke verify par click kar de.
- Ab next page khulega Jahan aap ko Apna username and password set karna hai. Apna username and password set Karke signup button par click kar de.
- Ab aapka digilocker account successfully create ho gaya hai.
- Aapke digilocker ke kyc ke liye aap apna mobile number dale and submit par click kar de.
- Ab aage apse Aadhar Card ka number puchha jayega aap Adhaar card ke number ko enter Kare and submit par click kar de.
- Ab aap apne digilocker ke dashboard par aa jayenge.
- Ab aapko dashboard par Please verify your email ka option milega vaha apko Apna Gmail id dalkar send verification link par click kar dena hai.
- Ab aap ke Gmail ID par digilocker account ko verify karne ka link aa jayega us link par click Karke aap apne Gmail ID ko Apne digilocker account se connect kar le.
- Jaise Hai Sari verification complete ho jati hai aap apne digilocker account mein apne important documents upload kar sakte hain.
Sample-digilocker-account |
Is Tarah aap apna digilocker account create kar sakte hain. Jo ki bahut simple hai agar Apke Pas apna aadhar card and usme registered mobile number hai.
Dosto agar aap ke paas apna Aadhar card ya usne registered mobile number nahi hai to bhi aapko Darne Ki Koi jarurat nahi hai. Jab KYC ke liye Pucha Jata Hai To Usi ke neeche aapko don't have Aadhar Card ka option Bhi Mil Jata Hai. Aap us par click Karke direct digilocker ke dashboard me aa sakte hain. Lekin digilocker account use karne ke liye aapko apna Aadhar Card link karwana bahot zaroori hai. Bina Aadhar card ke jariye aap digilocker account use nahi kar Sakenge.
To friends Umeed hai aap sabhi ko pata chal gaya Hoga Ki digilocker kya hai aur iska important Hamare Jeevan Mein Kaisa Hai India ko digital India banane ke liye PM Modi ji ne yah Bahot hi aham Kadam uthaya hai. Hum Sabhi Ko digilocker Banakar digital India is Mohin ko aage badhana chahiye. Kyuki yaha sab digital roop se hoga. Isiliye yaha kagajon ki koi jarurat nahi hogi. Aur agar kagaj hi nahi use honge to kagaj banane ke liye pedon ko bhi nahi kata jayega. Jis se hamara india Digital to hoga hi but India ki hariyali bhi kayam rahegi.
अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
आप हमसे यहाँ कनेक्ट हो सकते है। | ||
---|---|---|
facebook page | ||
twitter page | ||
Instagram Page | ||
YouTube | youtube channel | |
Youtube Channel Technical Vidya...!!! Watch & Subscribe Channel |
***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम।
Post a Comment
इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।