How-Does-CAPTCHA-Works |
Hello Namskar Dosto
Friends, Aapne google ke kai website par Captcha and reCaptcha jarur dekha hoga. Jaise hi aap koi form fill up karte hai uske last me aapse Captcha and reCaptcha fill ya solve karne ke liye kaha jata hai. Aakhir kyu hame ye Captcha and reCaptcha fill ya solve karne ke liye kaha jata hai. Iske pichhe website ka ya google ka kya maksad hota hai. Yahi sab ham Iss post ke jariye jan ne wale hai. To chalo friends dekhte hai Captcha and reCaptcha kya hota hai ? aur ye kaise work karta hai ?
Captcha and reCaptcha kya hota hai ?
Friends, CAPTCHA ka full form "Completely Automated Public Turing test to tell Computers and Humans Apart" hai. Captcha and reCaptcha ye ek task hota hai. Jaha apko Isme diye huye word alphabets and numbers ko sahi ye enter karna hota hai. Agar aap kisi website ya google par puchhe gaye iss Captcha and reCaptcha ko sahi se solve nahi kar dete aap aage nahi badh sakte. Captcha and reCaptcha solve na karne ke sthiti me ye Captcha and reCaptcha systeam ko apke ip address ko aage badhne se rok deta hai.
Captcha and reCaptcha kyu jaruri hai?
Friends, Captcha and reCaptcha kyu jaruri hai isse ham ek example ke sath samjhne ki koshish karte hai.
Example:- Friends apne IRCTC website ka name jarur suna hoga. India me sabhi traino ke tickets yaha se ham book kar sakte hai. Issi ke sath ham Tatkak tickets bhi yahi se book karte hai. Tatkal me apko ek din pahle hi Reservation mil jata hai. Tatkal tickets subah 11:00 start hota hai. Agar koi normally tatkal tickets book karne jata hai to use puri process ke liye minimum 2-3 minute lag jate hai. But agar koi ek aisi scripe bana de ki vo apne aap hi form fill up karke payment kare to vo sirf 10-15 sec me ho jayega. Iski vajah se sabhi logo ko tatkal ticket book karne ka avsar milega hi nahi.
Inn sabhi span and bato ko dhayn me rakhte huye websites par Captcha and reCaptcha rakha jata hai. jaha pata chal sake ki us website ko Human handle kar raha hai ya koi robot (script).
Captcha and reCaptcha ko kyu lana pada?
Internet par Daily Seconds seconds me lakho me fack id ban ne lagi Lakho me fack registration hone lage. Jo bevjah un sites ke database jo bharne ka kam kar rahi thi. Site ko kharab karne ka kam kar rahi thi.Ye ek tarah ka spanning thi jise rokna bahut jaruri ho gaya tha. Captcha and reCaptcha ko lane ka yahi maksad tha ki google ya kisi bhi website par chal rahe spanning ko roka jaye. Agar Captcha and reCaptcha nahi aata ya nahi laya gaya hota to ye sari website internet ka knowledge rakhne wale logo ki gulam ho jati. Jo jab chahe tab koi script ke jariye bahut sara spanning karti.
History of Captcha and reCaptcha
Captcha-sample-1 |
Jaise ki ham sab jante hai Captcha ka full form Completely Automated Public Turing test to tell Computers and Humans Apart hai. Captcha and reCaptcha ki vajah se hi aaj sabhi website safe hai.
Internet chal rahe spanning ko rokne ke liye bahut sari company koshish kar rahi thi. 2003 me Ek Captcha design hua isme apko alag alag letters dikhaye jate hai. Jo tedhe medhe hote hai, aur uske pichhe bahut sari noice hoti hai. Jise agar koi computer ekdam se padhe to padh na sake aur Ek human use padh ke samjh ke enter kar sakta hai. Jis se pata chal sake ki us website ko Human handle kar raha hai ya koi robo.
Yaha company ne socha kyu faltu me numbers and letter dikhaya jaye. Isiliye Captcha ko aur Advance kiya gaya Jise reCaptcha ka nam diya gaya. Isme yah maksad tha ki logo ko kyu faltu me numbers and letter dikhaya jaye, Kyu na iske badle logo ko Meanningful word dikhye. Isiliye inhone markets ke sabhi book ko OCR (Optical Character Recognition) ko use karke scan kiya. is se agar ham koi image ko scan karte hai to vo image ko text me convert kar deta hai. Agar computer un images ko convert hi kar deta to matlab hi kya hota un images ko dikhane ka. Isiliye Inn companys ne Sare books ko OCR ko use kar sacan kiya and jo words computer nahi padh saka. Un word ko uthakar Captcha me dal diya. Kyuki computer un word ko nahi padh pa raha tha.
Google ki website gmail etc. me chal rahe spanning ko rokne ke liye, Google me 2009 me reCaptcha company ko kharid liya. Ab Google apni idea se isse aur bhi behtar banana chahta tha. Kyuki bar bar logo se Text likhana logo ke liye Irritation se kam nahi tha. And iske vajah se logo ka time bhi waste ho raha tha. Issi bich bahut sari aisi companys market me aa gai jo Inn Captcha jo fill karne ke liye bahut sare logo ko appoint kar diya. Matlab jab bhi koi Captcha aata tha vo direct unke pas bypas ho jata tha. Aur vo compony vaha se un Captchas ko solve kar deti thi.
Google un companys se help nahi lena chahta tha isiliye usne noCaptcha reCaptcha design kiya. Ye Captchas apko Google ke websites par milenge. Jaha likha hota hai ⬜ I am Not Robot. In Captcha me apko un squar box me tick karna hota hai. Agar vaha Green tick ✔️ aa gaya to aap aage badh sakte hai.
Par yaha ek sawal aur aata hai ki agar mai uspar tick kar sakta hu to koi robot ya scripts bhi to click kar sakti hai. Isiliye jab aap uspar tick karte hai to bahut sari information apke computer se uthakar google ke pas jati hai. jisme Apke computer ka IP Address, Country ka location, City location, Jab apne tick kiya to apka To vo tick kis movement me hua, aap us page par kitme samay se hai, apme kitni bar scoll kiya. ye sari info google ke pas jane par machine learning use ki jati hai. jaha pata lagaya jata hai ki ye behavior koi human ka hai ya koi robot ka. Agar google ke systeam ko 5% ya 10% bhi laga ki ye koi robot kar raha hai. To vo apke IP ko black listed bana deta hai. And apko Ab ⬜ I am Not Robot ki jagah images dikhane lagta hai. Jaha apko Strait signal, bus, Car, frant shop etc image ko select karna hota hai. Jab aap 1-2 bar use thik se select kar dete hai. to google apke IP Address ko firse White listed kar deta hai and apke liye bhi agli bar se ⬜ I am Not Robot aane lagta hai.
How to Captcha and reCaptcha works?
Captcha and reCaptcha ki vajah se website par chal rahe unwanted behaviour ko roka jata hai. Jaise hi ham kisi website par register karte hai. Hame vaha Captcha and reCaptcha fill karna hota hai. Jaise hi ham se fill karke submit karte hai. Vo sari details ko us website ke pas lekar jata hai. Jaha pata lagaya jata hai ki aap humun ho ya koi robot. Agar systeam pata hai ki apka behaviour abnormal to apko vahi rok diya jata hai. Iska matlab sidhe sidhe yahi hai ki Captcha and reCaptcha website ko safe rakhne ke liye hi use kiye jate hai.
Ummid hai dosto aap ab pata chal hi gaya hoga ki Captcha and reCaptcha kya hota hai ? aur ye kaise work karta hai ? Dosto agar apki bhi koi website ya application hai jo sign up karwati hai. To aap jarur se Captcha add kare nahi to agar koi apke website ya application ke liye koi scripts ko banata hai to aapke liye ye bilkul sahi nahi ho sakta kyuki sripts ki vajah se apka sara database full ho jayega. And jo real visitors hai. Un ko aur apko probleams ka samna karna pad sakta hai.
अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
आप हमसे यहाँ कनेक्ट हो सकते है। | ||
---|---|---|
facebook page | ||
twitter page | ||
Instagram Page | ||
YouTube | youtube channel | |
Youtube Channel Technical Vidya...!!! Watch & Subscribe Channel |
***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम।
Post a Comment
इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।