सिम कार्ड क्लोनिंग और स्वैपिंग से कैसे बचना है | हिंदी में
SIM Card Cloning & Swapping SIM Swap Fraud अगर बचना है तो  हमेशा याद रखे ये बाते Technical Prajapati
SIM Card Cloning & Swapping SIM Swap Fraud | अगर बचना है तो  हमेशा याद रखे ये बाते |

Hello Namskar Dosto,
Friends, Market me Sim swapping Joro shore se apne kadam badha rahi hai. Sim swapping me Apke pas jo Sim hai, Vo Sim Automatically band ho jayegi. Aur use swap karke uska dusra sim bana liya jayega. Agar koi hacker apke sim ko swap karke apke sim ka clone bana leta hai to apke bank account ke sare opt (One Time Password) Vo hacker received kar lega aur apke bank account me jitna bhi paisa hai sab vo nikal lega. Yahi jankari aaj ham iss post me sikhne wale hai, to chalo friends.

Sim swapping se bachne ke tarike jan ne se pahle ham jan lete hai ki, Yeah hackers Sim swap karte kaise hai Aur hamko fasate kaise hai?

Hackers Sim Swap kaise karte hai?

1] Call Ke Jariye:-

Friends, Sim swap karne ke jimmedar aap khud bhi ho sakte hai, Are chaukiye mat chalo example ke sath samjhte hai.

Example:- Jaise apko 1 call aata hai. Samne wala admi apne aap ko aap jis company ka sim use kar rahe hai, us company se bat karne ka dava karta hai. Aur apko vo apke name ke sath sath apki location tak batata hai. Jis se aap ko uspar pura bharosa ho jaye. Uske bad vo admi apse apke aria me signal sahi na aane ki bat ya system update karne ke bare me kahega. Aur kahega ki ham ye call sare customers ko kar rahe hai. Agar apke signals drop ho rahe hai. To aap najdiki retailer ke pas jakar purani sim jama karke new sim lege tabhi jakar apko signals sahi tarike se aa payenge. Aur uske bad vo admi apse kahega ki agar apko koi probleam na ho to ye sari process ham iss call ke dauran kar sakte hai.

Retailar ke pas jakar sim change karwane se achchha hame call par hi us process ko karwana adhik easy lagta hai aur ham use allow karte hai.

Ab vo aadmi apko usi ne diye ek massage ko apne mobile se send karne ke liye kahega. Jaise hi aap apne number se us massage ko send karte hai. Apke mobile par ek Massage aata hai. Aur jaha apko replay me 1 likhkar send karne ke liye vo aadmi kahta hai.

Jaise hi aap 1 likh kar send kar dete hai. Vo admi apko apka confirmation aa jane ke bare me kahega. Aur 7-8 hours tak thik se network na aane par 24 se 48 hours tak wait karne ke liye kahega. Apko achchhi salah ke roop me vo apse apke mobile ko1-2 hours ke liye switch off karne ki sawah dega. Kyuki signal ke utar chadhav me apki battery jada use na ho.

To dosto Iss example me jo admi apko massage bhejne ke liye kahta hai. Vo sirf ek simple massage nahi balki apke Sim ko port karne ki request hai. Jaha automatically purani Sim band ho jayegi aur new Sim ko alot kar liya jayega.

Ye trick tabhi kam karti hai jab aap apni sim upgrade karate hai, Ya apke 2G, 3G, Sim ko 4G me convert karate hai. kyuki issme apko document nahi dene padte bas apne number se apne operator ko apna number send karna hoga hai. Jis se apke operator apki sim ko upgrade mankar purani Sim ko band kar denge.

To friends Issi tarike se logo ko fasaya ja raha hai, Taki log kaise bhi apna number bhej de aur unki Sim ko swap kar liye jaye.

2]ID Proof Ke Jariye:-

2nd Tarike ki bat kare Sim Swapping ka to Vo hai apka ID Proof. Yeah hackers kahi se bhi apka name, Number, Address pata kar lenge. Jise use kar vo apka duplicate ID banakar apka ID Proof banayenge. Aur kisi bhi Retailer ko pas jakar unhe unka mobile ya Sim kho gai hai aisa kahkar kuchh bhi karke convenes kar lenge. Jis se vo retailer apke Sim ko band karke dusra Sim alot kar leta.

Important Tip:- Inn Hackers ko apka Name, Number, Address apke dwara hi mil jata hai. Whatsapp par apko jo lalchane wale links aate hai unhi ke jariye. Jaha 4 sawalon ke jawab par apko 50/- Paytm ya aur kuchh dene ka dawa kiya jata hai. Vaha aap ya ham apni details khud hi fill kar ke hackers tak pahucha dete hai. Isiliye aainda apko aane wale aise fack massage ko badhawa shere karke na de.

3]Mobile number portability

3rd tarike ki bat kare to yeah hai Mobile number portability. Jaha apke mobile par ek code aayega jise use karke aap 7 dino me apne Sim ko kisi dusre 3rd party operator ke sath jod sakte hai. Ab yaha hackers apse kisi fack application ko download karwake apke mobile ka data apne pas le lenge. Aur apko alag alag tariko se hack kar denge.

Sim Swapping Se Kaise Bache?

1) Agar kabhi apko fack call aaye to kabhi bhi apki detail use na de. Jaise.- Credit card ka Number, Ya koi otp, Ya apse koi massage send karne keliye kahe. aap us call par kisi bhi instructions ko follow na kare.

2) Agar apko bar bar kisi unkonw numbers se call aa rahe hai ya massages aa rahe hai to kabhi bhi apne mobile ko Switch off na kare kyuki jo bhi apke Sim ko Swap karna chahta hai vo yahi chahta hai ki apka mobile Switch off yani band ho. Kyuki jab bhi apki Sim jaha bhi apne link karwaya hai. agar vaha kuchh bhi hota hai. to apko notification aata hai. Aur agar Sim band hui to vo notifications nahi aa payenge.

3) Agar apne apna mobile number bank me register karwaya hai. to aap vaha apna email id bhi register karwa le. Kyuki agar kabhi apka mobile hack ho bhi jata hai. to email ke jariye apko uski notification milti rahengi.

Agar Sim Swap Ho Jaye To Kya Kare?

Ab agar apka luck kharab hai aur aap hack ho hi chuke hai. To apko ye pata kaise chalega. To Dosto, Apke sim par kisi ke call nahi aayenge aur apke sim ka single nahi rahega. Aap kisi ko massage nahi kar payenge aur na hi aapko kisi ka massage aa payega. 4-5 Hour apke sim par network nahi hai. Ab apko karna yeah hai ki jaha aur jis bhi bank me bhi apka mobile number registe hai. Un sabhi branch me call karke apko un sare account ko hold karne ke liye kahna hai. Taki koi bhi us bank account se paise nikal na paye. Ab apko jis bhi operator ki sim aap use kar rahe hai us retailer ke pas jakar unhe sim ke bare me pata karna hai. aur alot huye sim ko turant band karakar new sim alot kar leni hai.

To Dosto Koi bhi hacking kisi tool se nahi ki ja sakti iske liye hackers aapko hi apke jal me fasa lete hai. Mobile applications ke jariye website visit ke jariye ya fishing mail ke jariye. Isiliye apko beware rahna hai. Kyu ki apko hack kahi se bhi kar sakte hai. Isiliye friends hamesha apne privacy & security ko lekar satark rahe nahi to aaj jo aap iss post me padh rahe hai. Kal aapke sath bhi ho satka hai. to apki jankari kisi ko bhi na de. Aur na hi shere kare.

आपको और भी सुरक्षित करने वाले हमारे द्वारा लिखे आर्टिकल्स को पढ़ने के लिए नीचे दिए गए लिंक पर क्लिक करें
👇👇👇


Ummeed hai dosto apko aaj ka SIM Card Cloning & Swapping SIM Swap Fraud | अगर बचना है तो  हमेशा याद रखे ये बाते | Yeah post jarur pasand aaya hoga. Aise hi Important Post ke liye visit karte rahe Technical Prajapati Iss Blog Par.


Jada Jankari ke liye YouTube ki Iss video ko Jarur dekhe. Aur Channel Ko Subscribe kare.



अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
आप हमसे यहाँ कनेक्ट हो सकते है।
Facebook facebook page
Twitter twitter page
Instagram Instagram Page
YouTube youtube channel
Youtube Channel Technical Vidya...!!! Watch & Subscribe Channel

***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम। 

Post a Comment

इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।

Previous Post Next Post