paytm-kaise-use-kare |
DOSTO AAJ BAHUT SARE LOG DIGITAL WALLET KA USE KAR RAHE HAI. JAISE KI PAYTM, FREECHARGE, PHONE-PAY, MOBIKWIK KYUKI ISKA USE BAHUT HI EASY HAI. LEKIN FIR BHI BAHUT SE LOG ISKE BARE ME NAHI JANTE HAI, AUR JO LOG JANTE HAI VAH LOG ISE USE KARNE SE GHABRATE HAI.
AAP LOG EKDAM SAHI HO. KYUKI JAB TAK HAME KISI BAT PAR 100% YAKIN NA HO JAYE TAB TAK HAME US BAT PAR YAKIN NAHI KARNA CHAHIYE. LEKIN DOSTO AAP EK BAT PAR GAUR NAHI KAR RAHE HAI. BHARAT ME LAKHO LOG ISKA USE KAR RAHE HAI. TO KYA HAM ISKA USE NAHI KAR SAKTE. BILKUL KAR SAKTE HAI YAHA TAK KI KOI BHI KAR SAKTA HAI. BAS USE MOBILE KA THODA KNOWLADGE HONA CHAHIYE. CHAHE VO PADHA LIKHA HO YA ANADI, CHAHE VO BADA HO YA CHHOTA KOI FARK NAHI PADTA. TO DOSTO AAJ HAM PAYTM KA USE KAISE KARE USKE BARE ME JANKARI LENGE. TO CHALO DOSTO PAYTM KA USE KAISE KARE SIKHTE HAI.
INFORMATION :-
DOSTO,PAYTM EK APPLICATION AUR WEBSITE HAI. JO HAME WALLET, BANKING AUR SHOPPING KI SEVAYE PRADAN KARTI HAI. ISKI STHAPNA AUGUST 2010 ME VIJAY SHEKHAR SHARMA NE KI THI.Q. PAYTM SE HAM KYA-KYA KAR SAKTE HAI?
WALLET:-
JAISA KI MAINE APKO BATAYA THA KI PAYTM EK WALLET HAI SHABDSHA ARTH DEKHA JAYE HO WALLET KA MATLAB PARSH HOTA HAI. JISME HAM PAISE RAKHTE HAI. AUR JAB SAMAY AATA HAI TO UNHI PAISO SE KHAREDARI KARTE HAI. USI PRAKAR HAM ISS DIGITAL WALLET ME PAISE RAKH SAKTE HAI. AUR HAME JO KUCHH BHI CHAHIYE USKA BHUGTAN KAR SAKTE HAI. YAH DIGITAL WALLET APKO ONLINE YA OFLINE DONO BHUGTAN SUVIDHAYE DETA HAI.
BANKING:-
JI HA DOSTO PAYTM EK ONLINE PAYMENT BANK BHI HAI.JISME HAM ONLINE BACHAT KHATA BHI KHOL SAKTE HAI.
SHOPPING :-
YAHA HAM APNE YA APNE GHAR KE JARURAT KE SAMAANO KO MANGA SAKTE HAI.
Q. HAME KYA FAYDA HAI?
WALLET :-
JAISE KI HAM NORMALLY KOI RECHARGE,BILL PAYMENT,LIGHT BILL,WATER BILL,FUEL BILL AADI BHARTE HAI TO HAME KUCHH BHI NAHI MILTA.PAR AGAR AAP INN SARE CHIJO KA BHUGTAN PAYTM SE KARENGE TO APKO AKRSHAK CASHBACK BHI MILTA HAI.SIRF APKO PAYTM ME CHAL RAHE PROMOCODE KO APPLY KARNA HOGA.
BANKING :-
YAHA HAM APNE PAISE KO SAVING KE ROOP ME RAKH SAKTE HAI. YAHA HAME HAMARE SAVING PAR HAR MONTH INTREST BHI MILTA HAI JAISE HAME DUSRE BANKO ME MILTA HAI. YAHA HAM CHUTKIYO ME PAISO KA LENDEN KAR SAKTE HAI. AB APKO BANK ME JANE KI AUR LINENO ME KHADE HONE KI KOI AVSYAKTA NAHI HAI.OFFERS KE MUTABIK AAP PAISE TRANSFER KARKE BHI CASHBACK PA SAKTE HAI.SHOPPING :-
YAHA AAP GHAR BAITHE APNE YA APNE GGAR KI JARURAT KI CHIJE APNE GHAR PAR MANGA SAKTE HAI.AB APKO BAZAR JANE KI KOI AVSYAKTA NAHI HAI.CHAL RAHE OFFERS KE MUTABIK APKO YAHA KAFI CHHUT AUR CASHBACK BHI MILTA HAI.AGAR DEKHA JAY TO PAYTM KA USE KARKE HAM HAMARA PAISA AUR TIME DONO KI BACHAT KAR SAKTE HAI. AUR KAHA JATA HAI NA TIME IS MONEY. ISKA MATLAB PAYTM USE SE PAISA HI PAISA BACHA SAKTE HAI.
Q. PAYTM ME APKA ACCOUNT KAISE BANAYE?
STEP 1 :- Google Play Store ME JAKAR SEARCH BAR ME PAYTM TYPE KARKE SEARCH KARE. YA NICHE DI GAI LINK PAR CLICK HARKE DOWNLOAD KARE.PAYTM DOWNLOAD CLICK ⇨ paytm.googleplay.com
STEP 2 :- PAYTM OPEN KARKE LANGUAGE SELECT KARE.
STEP 3 :- CREATE NEW ACCOUNT PAR CLICK KARE. APNA MOBILE NUMBER AUR AAP JO PASSWORD CHAHTE HAI USE JAL DE. AUR CREATE NEW ACCOUNT PAR CLICK KAR DE. STEP 4 :- APKE MOBILE PAR EK OTP RECEIVED HOGA USE DALKAR OK PAR CLICK KAR DE.
STEP 5 :- APNA 4 DIGIT KA PASSCODE SET KARE YAH APKO HAMESA YAD REAKHNA HAI.
STEP 6 :- APKE SAMNE KYC KA OPTION AA JAYEGA AAP SABKO SKIP KAR DE.
Q. PAYTM KYC KAISE KARE ?
STEP 1 :- APNA BRAWSER OPEN KARE AUR TYPE KARE "Paytm KYC Center near me" AAP KE SAMNE APKE GHAR KE PAS WALE SABHI CENTR SHOW HO JAYENGE.STEP 2 :- AB AAP JO CENTER APKE GHAR KE PAS HAI USE OPEN KARE AUR ADDRESS & CONTACT NUMBER NOTE KAR LE.
STEP 3 :- AB US PATE PAR APKO APNA MOBILE AUR APNA AADHAR CARD LEKAR JANA HAI.
***LO FRIENDS APKO PAYTM KYC HO GAYA.
Q. PAYTM PEMENT BANK KAISE KHOLE ?
FRIENDS,JAISE HI AAP APNA PAYTM KYC KARA LETE HAI AAP PAYTM PAYMENT BANK KE KI APPLY KAR SAKTE HAI. APKO SIRF APNE PAYTM APPLICATION KO OPEN KARNA HAI AUR NICHE DIYE GAYE BANK KE OPTION PAR CLICK KARNA HAI.AUR APKO APNA PAN CARD MENTION KARNA HOGA .AGAR APKE PAS PAN CARD NAHI HAI TO AAP BAD ME BHI USE SUBMIT KARA SAKTE HAI.AAP CHAHE TO PAYTM KYC KARATE SAMAY HI US AGENT SE KAH KAR VAHI SE PAYTM PAYMENT BANK KE LIYE APPLY KAR SAKTE HAI. KUCHH HI SAMAY ME APKA PAYTM PAYMENT BANK OPEN HO JAYEGA.
Q. PAYTM KA USE KAISE KARE?
1] APNE BALANCE KO PAYTM ME KAISE DEKHE?
JAB BHI AAP PAYTM OPEN KARENGE APKO "PASSBOOK" KA OPTION MIL JAYEGA JAISE HI AAP US PAR CLICK KARTE HAI. APKO VAHA WALLET & SAVING BANK DONO KA BALANCE DIKH JAYEGA. AGAR AAP WALLET PAR CLICK KARTE HAI TO APKE SAME WALLET SE KIYE GAYE TRANSACTION SHOW HO JAYENGE. VAISE HI AGAR AAP SAVING BANK PAR CLICK KARTE HAI TO SAVING BANK KE TRANSACTION AAP DEKH SAKTE HAI.2] PAYTM WALLET SE PAYTM WALLET ME PAISE KAISE TRANSFER KARE?
i] PAYTM ME PAY OPTION PAR CLICK KARE.ii] APKO YAHA 2 OPTION MIL JATE HAI. AAP MOBILE NUMBER DAL KAR YA QR-CODE SCAN KAR KE PAISE SEND KAR SAKE HAI.
iii] MOBILE NUMBER YA QR-CODE SCAN KARKE JITANA AMOUNT SEND KARNA HAI VAH DAL KAR SEND BUTTON PAR CLICK KAR DE
3] BANK SE BANK MONEY TRANSFER KAISE KARE ?
i] BANK SE BANK TRNSFER KE LIYE APKO PAYTM ME MONEY TRANSFER OPTION PAR CLICK KARNA HAI.ii] AB APKO JISE MONEY TRANSFER KARNA HAI USKA BANK ACCOUNT NUMBER, IFSC CODE & JISKE NAM PAR ACCOUNT HAI USKA NAM ENTER KARKE PROCEED PAR CLICK KARKE EK BAR FIR SE ACCOUNT NUMBER DAL KAR PROCEED KARNA HAI.
iii] AB AAP JITNA PAISA TRANSFER KARNA CHAHTE HAI. USE ENTER KAR DE & PROCEED PAR CLICK KAR DE.
iv] DETAILS KO CHECK KARE & FIR SE PROCEED KARE. AB APKO APNA 4 DIGIT KA PASSCODE ENTER KAR HAI. AUR PROCEED PAR CLICK KARNA HAI. LO BHAI HO GAYA MONEY TRANSFER VAH BHI BINA KOI CHARGE KE.
4] WALLET ME PAISE KAISE ADD KARE ?
i] ISKE LIYE APKO APNE PAYTM KE ADD MONEY OPTION PAR CLICK KARNA HAI.ii] AAP JITNE PAISE ADD KARNA CHAHTE HAI USE ENTER KAR KE ADD MONEY PAR CLICK KAR DE.
iii] AB APKE SAMNE COMPLETE PAYMENT KA OPTION AA JAYEGA.
1] BHIM UPI
2] Debit Card
3] Credit Card
4] Net Banking
INME SE KOI BHI OPTION SELECT KAR KE AAP PAYTM WALLET ME PAISE ADD KAR SAKTE HAI. AGAR APKE PAYTM PAYMENT BANK ME PAISE HAI TO AAP USE BHI ADD KAR SAKTE HAI.
5] PAYTM ME LIFAFA KYA HAI ?
LIFAFA EK PAISE TRANSFER KARNE KA HI TARIKA HAI PAR YAHA AAP KISIKO GIFT ME LIFAFA BHEJ SAKTE HAI.Ex/JAISE-
i] NORMALY KISIKO PAISE DENE KE LIYE AAP CLASSIC LIFAFA DE SAKTE HAI.
ii] JANMDIN PAR BADHAI DENE KE LIYE AAP BIRTHDAY LIFAFA DE SAKTE HAI.
iii] AGAR AAP KA KOI KAM KISINE KAR DIYA HAI AAP USE USKE BADLE PAISE DENA CHAHTE HAI. TO AAP THANK YOU LIFAFA DE SAKTE HAI.
iv] AGAR AAP 10 LOGO KO PAISE DENA CHAHTE HAI. 10-10/-RUPEE PAR APKE PAS SIRF 50 RUPEE HI HAI TO AAP LUCKY LIFAFA USE KAR SAKTE HAI. LEKIN YAD RAHE JO 5 LOG JALDI SE LIFAFA KHOLENGE UNHE HI PAISE MILENGE. BAKI 5 KO KUCHH BHI NAHI MILEGA.
v] AGAR APKO KOI LIFAFA BHEJTA HAI TO AAP USE PAYTM KE LIFAFA OPTION PAR CLICK KARKE DEKH SAKTE HAI & US LIFAFA PAR CLICK KARKE OPEN KAR SAKTE HAI.PAISE APKE WALLET ME INSTANTLY ADD HO JAYENGE.
Note:- AGAR AAPKO KOI LIFAFA SEND KARTA HAI TO USE WAKT PAR HI OPEN KAR LE KYUKI LIFAFA 48 HOUR KE BAD EXPAIRE HO JATA HAI.
6] UPI KYA HAI & PAYTM UPI KAISE BANAYE?
UPI KA FULL FORM "Unified Payments Interface" HAI. ISME AAPKO APNA BANK ACCOUNT LINK KARNA HOTA HAI. YAHA APKO EK ADDRESS DIYA JATA HAI. JISE HAM LOG UPI ADDRESS YA UPI ID KAHTE HAI. ISS UPI ID SE HAM KISIKE BHI ACCOUNT ME PAISE DE YA KISI SE BHI PAISE LE SAKTE HAI BINA APNA BANK ACCOUNT & IFSC CODE BATAYE.i] PAYTM UPI ID BANANE KE LIYE APKO PAYTM KE UPI OPTION PAR CLICK KARNA HAI.
ii] AB APKE SAMNE BAHUT SARE BANK SHOW HO JAYENGE. APNA BANK SELECT KARKE USPAR CLICK KAR DE.
iii] APNE APNE BANK ME JO NUMBER DIYA AB USE SELECT KAR LE [SIM 1 YA SIM 2] USKE BAD OK KAR DE.
iv] AB AAPKO APNE DEBIT CARD KE LAST 6 DIGIT KO ENTER KARNA HAI. & NICHE EXPAIRY DATE BHI ENTER KARKE OK PAR CLICK KAR DENA HAI.
v] AB APKA BANK UPI SE LINK HO GAYA HAI.USI JAGAH AAPKO APKA UPI ID BHI NAJAR AA JAYEGA. [AAPKA UPI ID NORMALY yourmobileno@paytm HOGA] AAP CHAHE TO ISSE BADAL BHI SAKTE HAI.
vi] AB APNA PASSCODE SET KAR LE. [PASSCODE HAMESHA YAD RAKHNA JARURI HAI]
7] UPI SE PAISE KAISE TRANSFER KARE?
JAB AAP PAYTM KE UPI PAR CLICK KARENGE TO APKO MONEY TRANSFER KA OPTION MIL JAYEGAi] AAP UPI SE 2 TARIKO SE PAISE TRANSFER KAR SAKTE HAI.
1] BANK DETAILS DALKAR :-
YAH KAISE HOTA HAI ISKE LIYE AAPKO MAI UPAR HI BATA CHUKA HU "PAYTM ME BANK SE BANK MONEY TRANSFER KAISE KARE" UNHI STEPS KO YAHA FOLLOW KARNA HAI.2] UPI ID DALKAR :-
AB AAP JISE PAISE TRANSFER KARNA CHAHTE HAI USKA UPI ID ENTER KAR KE VERIFY PAR CLICK KAR DE APKE SAMNE USKA NAM SHOW HO JAYEGA.USKE BAD AAP PROCEED PAR CLICK KARE & AMOUNT ENTER KARKE TRANSFER MONEY PAR CLICK KAR DE. AB APKO APNA 4 DIGIT KA PASSCODE DALKAR ISS ☑️ SYMBOL PAR CLICK KAR DENA HAI. APKE PAISE TRANSFER HO JAYENGE.⭐PAYTM LOUNCH 7 PE 11 UPI OFFER
⭐PAYTM NEW OFFER 7500₹ CASHBACK
Q. PAYTM ME CHAL RAHE CASH BACK OFFERS KA PATA KAISE LAGAYE?
PAYTM ME CHAL RAHE CASHBACK OFFERS KA PATA LAGANE KE LIYE APKO PAYTM APPLICATION KO OPEN KARKE APKO RIGHT SIDE UPAR KI OR CASHBACK OPTION PAR CLICK KARNA HAI. APKE SAMNE PAYTM ME CHAL RAHE SARE OFFERS SHOW HO JAYENGE.Q. PAYTM SE AUR KYA KARKE CASHBACK PA SAKTE HAI?
IMPORTANT INFORMATION :-
AGAR AAP CASHBACK PANA CHAHTE HAI TO SABSE PAHLE CASHBACK OFFERS CHECK KAR LE AUR VAHI SE PAYMENT KARE. AGAR KOI OFFER NAHI HAI TO AAP DETAILS ENTER KARNE KE BAD THIK SE DEKH LE KI FAST FORWARD PAR ✔️ TICK TO NAHI HAI. AGAR TICK HAI TO USE HATA DE OR PROCEED KARE AAGE APKO HAVE A PROMO CODE PAR CLICK KARKE UCHIT PROMO CODE SELECT KARKE PAYMENT KARNA HAI.1] RECHARGE & BILL PAYMENT
AAP PREPAID & POSTPAID MOBILE RECHARGE, LIGHT BILL, DTH RECHARGE, DATA CARD, LAND LINE, SCHOOL FEE, BROADBAND, WATER BILL, GAS BOOKING & PAY, CABLE TV, DENGUE INSURANCE, LIC, DAIRY PRODUCT etc. KA BILL PAY KARKE BHI CASHBACK PA SAKTE HAI.2] BANKING SERVICE
ISKE BARE ME MAINE APKO UPAR HI BATA DIYA THA. AGAR AAP UPI SE PAISE TRANSFER KARTE HAI TO CASHBACK OPTION KO CHECK KAR LE. ISME UPI MONEY TRANSFER PAR OFFERS AATE RAHTE HAI.3] PLAY GAME
ISME AAP GAME KHELKAR BHI PAISE KAMA SAKTE HAI. YA AAP KOI PROMOCODE PA SAKTE HAI. JISE USE KARKE APKO CASHBACK MIL JAYEGA.4]FINANCIAL SERVICE
ISME AAPKO LOAN, LIFE INSURANCE, CREDIT CARD, GOLD etc. KA OPTION MIL JATA HAI.i] YAHA AAP APNE LOAN KA EMI BHAR SAKTE HAI.
ii] YAHA AAP 1 YEAR, 3 YEAR & 5 YEAR KA 5 LAC KA LIFE INSURANCE BHI LE SAKTE HAI.
iii] AAP APNE CREADIT CARD KA BILL PAY KAR SAKTE HAI.
iv] AAP YAHA SE GOLD KI DIGITAL ROOP ME KHAREDI YA BIKRI KAR SAKTE HAI.
5] CITY SERVICES
YAHA AAP APNE CITY KI SERVICES YANI PETROL KA PAYMENT KAR SAKTE HAI. ISKE ALAVA AAP YAHA SE TOLL, CHALAN, MUNICIPAL PAYMENT AADI KAR SAKTE HAI.6] BOOK ON PAYTM
AAP APNE MOBILE KI JARIYE APNE PAYTM SE BUS, TRAIN, MOVIE, FLIGHT etc. KE TICKETS BOOK KAR SAKTE HAI.7] PAYTM MALL SHOPPING
AB YAR YE TO BATANE KI JARURAT NAHI HAI. KI AAP YAHA SHOPPING BHI KAR SAKTE HAI. LEKIN DETAILS ME JAN NE KE LIYE CHALO DEKHE.IMPORTANT INFORMATION :-
APKO SHOPPING PAR ACHCHHI CHHUT MIL JATI HAI OR CASHBACK BHI PAR YAD RAHE YAH HAR WAKT UPDATE HOTE RAHTA HAI.1st ORDER FREE :-
APKO YAHA JAB AAP KOI BHI PRODUCT PAHTI BAR PARCHES KARTE HAI. TO APKO 1st ORDER BILKUL FREE MILTA HAI. [FREE KA MATLAB 200/- RUPEE TAK KE PRODUCT PAR APKO PAHLE PAYMENT KARNA HOGA PRODUCT APKE GHAR AA JANE PAR APKE PAISE APKE PAYTM WALLET ME ADD HO JAYENGE.]
100% CASHBACK :-
YAHA APKO 100% CASHBACK MIL JATA HAI. [JITNA CASHBACK TAY KIYA HAI UTNA FILHAL 100/-RUPEE MIL RAHE HAI]GROCERY :-
YAHA AAP APNE GHAR KA KIRANA BHAR SAKTE HAI.MOBILES :-
AAPKO YAHA SABHI MOBILE/SMARTPHONE KAM PRICE ME MIL JATE HAI. APKO YA CASHBACK BHI MILTA HAI.ELECTRONICS APPLIANCES:-
AAP PAYTM SE TV , AC, LAPTOP, AUR BAHUT SARE ELECTRONIC GAGET KHAREDI KAR SAKTE HAI.MEN FASHION :-
APP MAN HO TO AAP APNE LIYE BRANDED CHIJE YAHA SE LE SAKTE HAI.WOMEN FASHION :-
AAP WOMAN HO TO APKO YAHA APKE LIYE BAHUT SARI BRANDED CHIJE MIL JAYENGI.HOME & KITCHEN :-
YAHA SE AAP APNE HOME & KITCHEN KO SAJANE KI CHIJO KO LE SAKTE HAI.TOY & KID'S FASHION :-
YAH OPTION KID'S YANI BACHCHO KE LIYE HAI. YAHA SE AAP BACHCHO KE LIYE KHILONE YA KAPDE KHARID SAKTE HAI.GIFT CARD :-
YAHA SE AAP BIG BAZAR, KFC, BATA etc. COMPNY'S KE GIFT CARD BUY KAR SAKTE HAI. OR INN COMPNY'S KE PRODUCT BUY KARKE USE APPLY KAR SAKTE HAI.
अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
आप हमसे यहाँ कनेक्ट हो सकते है। | ||
---|---|---|
facebook page | ||
twitter page | ||
Instagram Page | ||
YouTube | youtube channel | |
Youtube Channel Technical Vidya...!!! Watch & Subscribe Channel |
***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम।
Nice bhai
ReplyDeleteTHANKS DEAR
DeletePost a Comment
इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।