STRUCTURE-DATA-ERROR-GOOGLE-WEBMASTER-TOOL |
HELLO,NAMSKAR DOSTO
FRIENDS APNE GOOGLE WEBMASTER TOOL KE ANDAR SEARCH APPEARANCE OPTION KE UNDER STRUCTURE DATA JARUR DEKHA HOGA.FRIENDS YE STRUCTURE DATA KYA HAI? AUR ISME HAME KYA PATA CHALTA HAI? KYA YE VAKAI HAMARE KAM KI CHIJ HAI YA NAHI? YE SARI BATE HAM AAJ KI ISS POST ME JAN NE WALE HAI.TO CHALO FRIENDS DEKHTE HAI YE STRUCTURE DATA KYA HAI.
STRUCTURE DATA KYA HAI AUR ISME KYA PATA CHALTA HAI?
JAISE KI FRIENDS HAM SABHI JANTE HAI.KOI BHI CHIJ APNE SAHI STRUCTURE ME HI ACHCHHI LAGTI HAI AUR SAHI HOTI HAI.BILKUL VAISE HI HAMARE BLOG KA BHI EK STRUCTURE HOTA HAI.HAM JO BHI BLOG TEMPLATE USE KARTE HAI.VO HAMARE BLOG KA STRUCTURE HAI.AUR SABHI POST YA PAGES USI KE ANUSWAR SHOW HOGI.STRUCTURE DATA ME HAME HAMARE BLOG TEMPLATE KI HI JANKARI MILTI HAI.KI HAMARE BLOG TEMPLATE KE STRUCTURE ME KAUN- KAUN SE ERROR AA RAHE HAI.
STRUCTURE DATA ME KAUN SE ERROR AATE HAI?
•MISSING UPDATE ERROR:-APNE PAGE UPDATE KAB KIYA VO DATE MISSING HAI.
•MISSING AUTHOR ERROR:-YE POST KISNE LIKHA AUTHOR KI JANKARI MISSING HAI.
•MISSING ENTRY-TITLE ERROR:-APKE POST KA TITLE MISSING HAI.
INN TINO ME SE MISSING UPDATE AND MISSING ERROR COMMON HAI.JO SABKE BLOG PAR AA SAKTE HAI.
AGAR STRUCTURE DATA ERROR SOLVE NA KARE TO KYA HOGA.
FRIENDS,AAPKO YE BAT JAN LENI CHAHIYE KI APNE APNA BLOG KO AKHIR KYU GOOGLE WEBMASTER TOOL ME SUBMIT KIYA HAI.KYUKI FRIENDS GOOGLE WEBMASTER TOOL APKO APKE BLOG,POST AADI KE ERROR YA PROBLEMS KI JANKARI DETA HAI.AUR AAP US ERROR KO SOLVE KARKE APNE PAGE KO AUR BETTER BANA SAKTE HAI.JIS SE GOOGLE APKE BLOG YA PAGE KO SEARCH RESULT ME AAGE SHOW KARA SAKE.
PAR FRIEND JAB AAP GOOGLE WEBMASTER TOOL DWARA BATAYE GAYE ERROR KO SOLVE HI NAHI KARENGE TO APKO YA KAHE APKE BLOG KO NUKSAN HO SAKTA HAI.GOOGLE APKE BLOG KO SEARCH ENGINE ME 1sT PRIORITY NAHI DEGA.JIS SE APKE BLOG APAR JADA VISITOR NAHI AAYENGE AND APKI RANKING BHI LOW HO JAYEGI.ISILIYE FRIENDS KAM SE KAM 1 WEEK ME 1 BAR JARUR WEBMASTER TOOL KO OPEN KARKR CHECK KAR LENA CHAHIYE.
STRUCTURE DATA ERROR KO KAISE SOLVE KARE?
AAP STRUCTURE DATA ERROR KO GOOGLE WEBMASTER TOOL ME HI SOLVE KAR SAKTE HAI.ISKE LIYE AAP NICHE DIYE GAYE STEPS KO FOLLOW KARE.
•GOOGLE WEBMASTER TOOL ME LOG IN KARE AND APNE URL PROPERTY PAR CLICK KARKE OPEN KARE.
•AB AAP DASHBOARD ME AA GAYE HAI.LEFT SIDE APKO BAHUT SARE OPTION NAJAR AA JAYENGE.APKO SEARCH APPEARANCE>>STRUCTURE DATA PAR CLICK KARNA HAI.
•AB ISS PAGE PAR APKO UPAR GRAPH NAJAR AAYEGA.AND NICHE SARI DETAI.AB APKO NICHE DIYE HUYE DETAILS PAR JAHA ERROR HAI USE CLICK KARKE OPEN KARNA HAI.
•AB APKE BLOG PAR JITNE BHI PAGES PAR ERROR HAI.SABHI KE TITLE SHOW HO JAYENGE.AUR US PARTICULAR PAGE ME KYA ERROR HAI.YE BHI PATA CHAL JAYEGA.
•AB APKO YAHA KISI EK TITLE PAR CLICK KARNA HAI.AB APKE SAMNE EK CHHOTI SCREEN OPEN HO JAYEGI.USME APKO BLUE COLOR ME US PAGE KA URL SHOW HO JAYEGA APKO US URL KO COPY KAR LENA HAI.AUR FIRSE DASHBOARD PAR BACK AANA HAI.
•AB APKO SEARCH APPEARANCE>>DATA HIGHLIGHTER PAR CLICK KARNA HAI.
•APKO US PAGE PAR START HIGHLIGHTING OPTION MILEGA US PAR CLICK KAR DE.
•APKE SAMNE EK CHHOTI SI SCREEN OPEN HOGI APKO YAHA BLANK JAGAH PAR APNE COPY KIYE HUYE URL KO PAST KARNA HAI.AAP KIS TIPY KE INFORMATION KO HIGHLIGHT KAR RAHE HAI VO SELECT KARE.NORMALLY AAP ARTICLE SELECT KAR LE.LAST ME APKO 2 OPTION AUR MILENGE YAHA
1)TAG THIS PAGE AND OTHER LIKE IT:-ISKA MATLAB AAP ISS PAGE KE SATH SATH AISE HI ERROR WALE DUSRE PAGES KO BHI EKSATH HIGHLIGHT KARNA CHAHTE HAI.NORMALY YE JADA ERROR HONE PAR USE KIYA JATA HAI.
2)TAG JUST THIS PAGE:-AAP SIRF ISSI PAGE KO HIGHLIGHT KARNA CHAHTE HAI.JAB APKE BLOG PAR KAM ERROR HO YA ALAG ALAG ERROR HO TAB AAP ISSE USE KAR SAKTE HO.
•AB AAP LAST OPTION APNE TARIKE SE CHOOSE KAR LE AND OK PAR CLICK KARDE.
•AB APKE SAMNE APNE JO URL DALA HAI VO PAGE OPEN HO JAYEGA.SABSE PAHLE APKO US PAGE PAR TITLE,PUBLISH DATE,AUTHOR ITYADI BARI BARI SELECT KARNA HOGA.JAISE HI AAP BARI BARI SELECT KARENGE APKE SAMNE OPTION SHOW HONGE KI APNE JO SELECT KIYA HAI VO KYA HAI.AAP US TARIKE SE USME SE CHOOSE KARE.
•AGAR APKE US PAGE ME KOI JANKARI NAHI HAI.JAISE TITLE,PUBLISH DATE,AUTHOR TO AAP RIGHT SIDE SETTING PAR CLICK KARE AND MISSING TAG PAR CLICK KARE.
•AB APKE US PAGE ME JO JANKARI NAHI HAI AAP USE VAHA LIKHE AND NICHE DIYE GAYE OPTION ME SE BATAYE KI YE KYA HAI.
•JAB AAP TITLE,PUBLISH DATE,AUTHOR ITYADI SABHI DETAILS HIGHLIGHT KAR LENGE TO APKO RIGHT SIDE UPAR PUBLISH KA OPTION MILEGA.US PAR CLICK KAR DE.
•AGAR APNE TAG JUST THIS PAGE PAR TICK KIYA HOGA TO APKA KAM YAHI PAR KHATM JO JATA HAI.LEKIN AGAR APNE TAG THIS PAGE AND OTHER LIKE IT PAR TICK KIYA THA TO APKE SAMNE USI PAGE KI TARAH ERROR HONE WALE SABHI PAGE LOAD HONGE.
•PAGE LOAD HO JANE PAR AAP US PAGE SET KO EK NAME DE AUR CONTINUE PAR CLICK KAR DE.
•AB APKE SAMNE SABHI ERROR PAGE BARI BARI OPEN HONGE AUR APKO SABHI PAGES ME TITLE,PUBLISH DATE,AUTHOR ITYADI HIGHLIGHT KARNA HAI.
•JAB APKA EK PAGE HIGHLIGHT HO JAYE TO UPAR SAVE PAR CLICK KARE.APKE SAMNE DUSRA ERROR PAGE OPEN HO JAYEGA.
•JAB AAP APNE PURE ERROR PAGE KE SET KO HIGHLIGHT KAR LENGE.TO LAST ME APKE SAMNE SARE PAGE SHOW HONGE TAB APKO DETAILS KO CONFURM KARKE RIGHT SIDE UPAR PUBLISH PAR CLICK KARE.
YES...!!! DONE ISI TARIKE SE FRIENDS AAP APNE BLOG AND PAGES KE STRUCTURE DATA ERROR KO THIK KAR SAKTE HAI.PAR TURANT HI APKE STRUCTURE DATA ERROR CHALE NAHI JAYENGE.ISKE LIYE APKO 3-4 DAY WAIT KARNA HOGA KYUKI GOOGLE WEBMASTER 1 WEEK ME SIRF 2 BAR HI STRUCTURE DATA ERROR KI INFORMATION UPDATE KARTA HAI.
TO UMMID HAI DOSTO APKO PATA CHAL HI GAYA HOGA KI STRUCTURE DATA ERROR KYA HAI.IS SE HAME KYA NUKSAN HO SAKTA HAI.STRUCTURE DATA ERROR KO GOOGLE WEBMASTER TOOL ME HI KAISE SOLVE KARE.
अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
आप हमसे यहाँ कनेक्ट हो सकते है। | ||
---|---|---|
facebook page | ||
twitter page | ||
Instagram Page | ||
YouTube | youtube channel | |
Youtube Channel Technical Vidya...!!! Watch & Subscribe Channel |
***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम।
Post a Comment
इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।