online-ho-to-security-bhul-jao
online-ho-to-security-bhul-jao
HELLO,NAMSKAR DOSTO
FRIENDS AAJ KA TOPIC APKO SOCHNE PAR MAJBUR KAR DEGA. KI AAP JO ONLINE KUCHH BHI KARTE HO KYA AAP SAFE HO. KYUKI DOSTO 90% LOG ISPAR DHYAN HI NAHI DETE. VAH LOG SAMJHATE HAI KI KOI KYA KAR LEGA HAMARI JANKARI LEKAR AUR KAHTE HAI. " BHAIYA HAMARI JINDGI TO KHULI KITAB HAI." VAHI KUCHH LOGO KO SAFTY KE BARE ME AADHA ADHURA KNOWLADGE HAI. VAH LOG APNI MOBILE ME LOCK LAGAKAR RAKHTE HAI. KYA ITNA KAFI HAI.
NAHI DOSTO, AGAR AAP THODE SE FEATURES KE LIYE KISI BHI 3RD CLASS APPLICATIONS KO DOWNLOAD KARTE HAI. TO AAP BILKUL BHI SAFE NAHI HAI. AAP APNI SECURITY BHUL HI JAO. HAMARE NAJAR ME SIRF PAISE KI HI SECURITY HAI. PAR AAP SHAYAD YAH NAHI JANTE. AGAR AAP PARSONAL BHI SECUAR NAHI RAHENGE TO APKE PAISE BHI CHALE JAYENGE. MAI AISA KYU KAH RAHA HU CHALO DEKHTE HAI.


HAM SECUAR KAISE / KYU NAHI HAI?

DOSTO APKO TO PATA HI HOGA ANDROID KA JANMDATA GOOGLE HAI. AAP APNE MOBILE ME MOSTLY GOOGLE KE HI PRODUCT USE KARTE HAI. JAISE GMAIL, GOOGLE PLAY, CHROME BRAWSER, YOUTUBE, GOOGLE MAP etc. TO FRIENDS AGAR AAP GMAIL ID BANATE HAI TO VAH GOOGLE KO PATA HAI. AGAR AAP KOI APPLICATION DOWNLOAD KARTE HAI TO VAH BHI GOOGLE KO PATA HAI. BRAWSER ME AAP KYA SEARCH KAR RAHE HAI YAH BHI PATA HAI. YOUTUBE PAR APNE KAUNSI VIDEO DEKHI YAH BHI PATA HAI. AUR TO AUR DOSTO ABHI AAP KAHA HAI YAH BHI GOOGLE JANTA HAI.AGAR AAP ONLINE HO TO. ISILIYE TO BADE BADE HACKER KARODO KA GHOTALA KAR KE BHI PAKDE JATE HAI. TO KYA DOSTO AAP SECUAR HO. NAHI ONLINE HO TO BILKUL BHI SECUAR NAHI HO AAP.



GOOGLE KO SAB KAISE PATA HOTA HAI?


JAHIR SI BAT HAI DOSTO JAB GOOGLE APNI SERVICE DETA HAI. TO USKE LIYE SERVER KI JARURAT HOTI HAI. AUR JAB HAM GOOGLE KE KISI BHI PRODUCT KO USE KARTE HAI TO HAMSE SABSE PAHLE GMAIL ID MANGA JATA HAI. VAH GMAIL ID SERVER PAR REGISTER HO JATI HAI. USKE BAD HAM JO KUCHH BHI KARTE HAI. VAH GOOGLE KI SARVER ME US GMAIL ID KE UNDAR SAVE HOTE RAHTA HAI. ISI KARN AAP US APPLICATION ME JO KUCHH BHI KARE VAH GOOGLE KO PATA CHALNA JAYAJ HAI.

AGAR AAPKO PATA KARNA HAI TO AAP YAHA CLICK KAR KE DEKH LE

⬇️Personal info & privacy - Google Account

AB APNE JIS DIN SE APNE MOBILE ME GMAIL ID DALI HAI OR JIS DIN SE APNE INTERNET USE KARNA START KIYA THA AAP US DIN SE AAJ TAK KI SABHI DATA KO DEKH SAKTE HAI.



IS SE HAME KOI KHATARA HAI?


NAHI FRIENDS, IS SE HAME KOI KHATARA NAHI HAI. KYUKI GOOGLE KI SARI PROCESS COMPUTERIZE HAI. MANUALY KOI HANDLE NAHI KARTA AUR KAR BHI NAHI SAKTA. KYUKI BAHUT SARA DATA LOAD HOTA HAI. VASE BHI GOOGLE EK BHAROSE KI COMPNY HAI. AUR GOOGLE KE TECHNILOGY KO PURI DUNIYA USE KARTI HAI. TO ISME KHATRE KI KOI BAT NAHI.

THODE SE FEATURES KI LALCH ME KISI BHI APPLICATION KO USE MAT KATNA.

AAJ KAL GOOGLE PLAYSTOR PAR BAHUT SARI DUBLICATE APPLICATIONS AA GAI HAI. JO REAL APPLICATION SE KUCHH JADA FEATURES DETI HAI. MATLAB HAM JO ISS DUBLICATE APPLICATION ME KUCHH EXTRA KAR SAKTE HAI. VAHI HAM ORIGINAL APPLICATION ME NAHI KAR SAKTE. ISILIYE BAHUT SARE LOG ISS DUBLICATE APPLICATIONS KO DOWNLOAD KAR LETE HAI. FRIENDS YAHI HAM SAB LOG GALTI KAR DETE HAI.
          HAM GOOGLE PAR VISWASH RAKH SAKTE HAI. HAM OFFICIAL APPLICATION PAR VISWASH RAKH SAKTE HAI. PAR JIS APPLICATION KE DEVELOPER KE BARE ME HAME KUCHH PATA HI NAHI KI VO KIS DESH KA HAI. VAH HAMARI INFORMATION KA KYA KAREGA. VAH HAMSE APPLICATION DOWNLOAD KARATE WAKT KAUN-KAUN SI PERMISSION LE RAHA HAI. KYUKI JAB HAM GOOGLE KE PRODUCT USE NAHI KARTE TO DUSRE APPLICATION KI JANKARIO PAR GOOGLE KA HAK NAHI HOTA. YA KAHE GOOGLE KO PATA NAHI HOTA.ISKA MATLAB AAP SECUAR HO AISA BILKUL BHI NAHI HAI. AB AAP AUR BHI JYADA KHATRE ME PAD GAYE HO. KYUKI GOOGLE KI SERVER PAR UNLIMITED DATA AATA HAI. ISILIYE VAH COMPUTERIZE TARIKE SE HANDLE KARTA HAI. AUR ABHI AAP JO DUBLICATE APPLICATION KO DOWNLOAD KIYE HUYE HAI. UNKE PAS LIMITED DATA AATA HOGA. JISE VAH MANUALLY TARIKO SE HANDLE KAR SAKTA HAI. VAH APKI INFORMATION KO DEKH SAKTA HAI.PADH SAKTA HAI. VAH APKE INFORMATION KO BECH BHI SAKTA HAI.

EX :- AAJ KAL APKO FROUD KI KHABRE KUCHH JADA HI TADAT ME SUN NE KO MIL RAHI HONGI. APKO EK CALL AATA HAI JO APKE BARE ME KUCHH SAHI JANKARIYA BATATA HAI. JIS SE HAM LOG AASANI SE UNKI BATO PAR YAKIN KAR LETE HAI. JARA SOCHO UN LOGO KE PAS APKI JANKARI KAHA SE AATI HAI.
          KUCHH DIN PAHLE  MERE FRIEND KE FRIEND KE RELATIVE KO EK CALL AAYA JINHONE ONLINE KOI PRODUCT BUY KIYA THA. CALL PAR JO ADMI THA VAH US PRODUCT PAR AAP LUCKY HAI AUR AAP 12,50,000/-RUPEE JITE HO APKE PAISE TRANSFER KARNE KE LIYE APNA ACCOUNT NUMBER BATAO AISA KAH RAHA THA. PAR VAH YE SAB MAMLE JANTE THE UNHONE APNE TARIKE SE CALL HANDLE KIYA.
          AB YAHA SOCHNE WALI BAT YAH HAI KI US ADMI KE PAS APKI JANKARI KAHA SE AAI. KYA APKI JANKARIO KO BECHA NAHI JA RAHA HAI. KISNE BECHI HOGI YAH INFORMATION YAH BATANA MUSKIL NAHI HAI.
          AB AAP HI SOCHO BHAI KYA KYA HO JAYEGA AGAR AAP AISI DUBLICATE APPLICATIONS KO INSTALL KARENGE TO. APKI JANKARI TO PRIVATE RAHEGI HI NAHI. ISME AAP SIRF APNI HI NAHI PURE DESH KI PRIVACY KO UJAGAR KAR RAHE HAI. KYUKI AGAR DESH KE LOGO KI HI PRIVACY NAHI RAHEGI TO HAMARE DESH KI PRIVACY KYA KHAK RAHEGI.
          UMMID KARTA HU KI ISS POST KO PADHNE KE BAD AAP APNI MOBILE SE SARE FAKE APPLICATIONS KO DELET KAR DENGE.APNE AAP KO AUR BHARAT MATA KO PRIVACY PRADAN KARENGE. KHUD BHI SECUAR RAH KAR INDIA KO SECUAR BANAYENGE. DIGITAL INDIA SECUAR INDIA

⭐⭐⭐स्वतंत्रता दिवस की हार्दिक शुभकामनाये⭐⭐⭐


आपको और भी सुरक्षित करने वाले हमारे द्वारा लिखे आर्टिकल्स को पढ़ने के लिए नीचे दिए गए लिंक पर क्लिक करें
👇👇👇


अगर आपको आज का यह पोस्ट पसंद आये तो कमेंट करके जरूर बताये क्युकी कमेंट बॉक्स आपका ही है। हो सके तो अपने हर फ्रेंड्स को आप इस पोस्ट को सोशल मीडिया पर शेयर करके जरूर बताये। और साथ ही साथ हमारे ब्लॉग वेबसाइट को सब्सक्राइब करे। ताकि आप पा सके ऐसे ही महत्वपूर्ण जानकारियों के नोटिफिकेशन सीधे अपने मोबाइल पर।
***तो दोस्तों आज के लिए बस इतना ही फिर मिलेंगे अगली पोस्ट में तब तक के लिए नमस्कार जय हिन्द वन्दे मातरम। 

Post a Comment

इस आर्टिकल के बारे में आप अपनी राय नीचे कमेंट बॉक्स में दे सकते हैं।

Previous Post Next Post